Chap.6

141 5 0
                                    


Hamara saadi / namal part 2

Subha abhi taaja Thi Aur Safedi sunharepan Mein Nahin Badli thi or kardaro ke nashta ho kar khatm ho chuka tha

subha ki shehreen ayi ab wapis ja chuki thi

nosherwa dubara sone Chala gaya tha

Hashim Court ke liye nikal chuka tha

Magar kuch gharo main abhi nashte ki taiyari abhi chal rahi or asy gharo maise woh choti imarat bhi thi

Jiske ki bahar wale Bord par
zulfkaar Yusuf Khan likha tha

Ghar k andar jao to kamro se kamre nikalte they 2 manzila makan
chota sa tha
asy main nashte ki mehek pury main phaili thi

Ek khatoon tavy par paratha dalte hue zor zor sey awazy laga rahi thi

" USAMA HANEEN UTH JAO VAN ANE WALI HAII "

" kya ammi main kabse taiyar bhi ho chuka hun "

Ek 13 saal k ladke ne narazgi se kehte hue kitchen main jhanka
Wo uniforms main malboos tha
Or brush sey geele Baal bana raha tha

Uske Baal gehry bhoory or ghoongraly they apni zumar phopho ki tarah

Nudrat ne ujlat main use mur kar dekha or boli

"acha shabaash or haneen kidar hai? "

" Katto begham abhi tak so rahi hai "

" Kitni dafa kaha hai sem k Bari behen ko ase naamo sey mat bulaya Karo "

" gin kar bataun ? kitni dafa ammi "

ise pehle ke wo juta utar ti wo waha se ja chuka tha
Waha se wo sida ek kamre main Aya
Jaha 2 bed kamre ki mukhtalif diwaaro par lage the ek bed pay usama ka bag para tha
Or dusre pr wo muh tak lehaf tane so rahi thi

"Haneen HANEEEEEEENN "

uske Naam ko lamba kheench ke bola

"Katto begham uth jaoo "

Phir gussy sey uske muh pay tane lehaf se uska bazu hilaya

Andar koi hil Jul nahi hui
Usama ke tasurat badle
Aankhon main shararat udhri
Wo paon ki taraf aaya
Or uska ek paon Jo lehaf se bahar tha
Uspar 2 ungilon se gudgudi ki

Pair teji se andar gaya or lehaf utar kar wo gussy se dahari

" badtamij ullu main tumhe
choru gi nahi "

Niche jhuk kar usne juta talash kiya magar wo use pehle he bhag kar darwaze ke bahar chhup gaya phir kachue ki tarah
gardan andar kar ke bola

" Van ane wali hai aj main tumhe chutti nahi karne dunga katto begham "

Juta urta hua us tak Aya magar usama tab tak waha se ja chuka tha

" main chutti kar bhi nahi rahi magar majal hai ki muje 10 mint or sone de "

Wo muh sikorti pair farash par Marti uth Khadi hui

" kya Roz Roz subha subha uthna parta hai "

Phir jase use kuch yad Aya
Wo darwaze tak ayi or gussy sey boli

" motey aalu ab ana tum mere pas copy ka cover charwane ya noodles banwane "

Gussa nikal kar wapis mur kar ghari dekhi " ohh noo " keh kar jaldi jaldi taiyar hone lagi
Almari khuli or kapro ka pahar uske upar gira bamushkil dher mese ek soot kheencha or dher ko andar kar k almari band ki or bathroom main chali gayi

Bahar ayi to jaldi jaldi jute polish kiye uske kapre kuch khas istari na they
Or sath sath ammi ki vajahate

" Kitni dafa kaha hai raat ko Kam karke soya Karo jis din main Kam na karu us din tum dono koi Kam nahi karte "

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now