POEM- 1 FIR NA CHEENO MUJHSE

50 13 31
                                    

Fir na cheeno mujhse,
Ab to bas ye kalam mera sahara hai...
Sunsaan meri raaho par geet koi awara hai...
Tum puchte ho ki kya "paisa" de sakti hai ye mujhe?
Kyuki naam aur shauhrat par to sirf
Zulm karne walo ka naara hai,
Fir na cheeno mujhse,
Ab to bas ye kalam mera sahara hai...
Bahut sitaaro ki khwaahish rakh kar
Mene mera chain gawaya tha,
Koi tha nahi yaha..par sabki baato ne mujhe maara tha,
Me giri hui thi mere farsh par,
Magar kisi ko aansu kya hi dikhte?
 Kyuki ankho par patti bandhi mili hoti hai arsh par..
Neend me sapno ki panah lena chahti thi,
Vastvikta ne to sirf Astitva ko mere maara tha...
Subah ka suraj dikhna band ho gaya,
Shaam ka khilkhilana bhi ab gayab ho gaya,
Raat bhi meri sirf soch-sochkar beet gayi,
"2 mahine ho gaye kya ab bhi tum kuch nahi kar payi?"
Bas ek shikayat hai mohtarma aapse,
Tumhare lafz bahut darate hai
Ab to mujhe apneaap se...
To fir na cheeno mujhse,
Ab to bas ye kalam mera sahara hai...

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Apr 27 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

KAVI YA KAVITA? Where stories live. Discover now