POEM-6 NAZARIYAA (PERSPECTIVE)

167 30 24
                                    

Ab dekhta hu us chand ko
Tumhare chehre ki tarah...
Karta hu wo baate usse ab,
Jo tumse na kar saka...
Din yaad aate hai ab wo mujhe,
Jab har baat se meri tum rubaru hua karti thi...
Ab to shayad sochti bhi nahi hogi..
Ki tha koi jo nahi reh sakta tha tumhare bina...

❁❁❁❁❁

Ye andheri raat hi ab bas reh gayi hai,
Aur ban chuki hai is dard ki gawah...
Thoda aur tootne ya bikharne ki,
nahi rahi hai ab ek bhi wajah...
Par fir bhi ehsaas ka samandar aaj bhi rehta hai is dil ke darmiyaan...
Kyu har waqt ulajh kar, kismat se meri haarkar reh jati hu me..?
Dil mera maarkar haar kar khud ki sun nahi pati hu me..?
Ban chuki hu wo chakor me jise uska chand na mila...

❁❁❁❁❁

Kismat ka bahana wo dete hai
Jo chahte hi nahi the ladna..!
Aaj bhi lad raha hu me,
Shayad pehle bhi sirf me hi tha..
Guzre hue lamho ko yaad karna
Aadat si ho gayi hai,
baat karna ab mere naseeb me kaha?

❁❁❁❁❁

Kaise ladu wo ladai me, jab khud bikhar chuki hu..?
Shayad samajh jana behtar hai ki
Zaruri nahi manzil pane ke liye har waqt badla jaye rasta..
Kabhi kabhi manzil chhodna hi ban jata hai ek rasta...
Kash ye baat tum bhi samajh pate!
Aur kabhi ye lagta hai manzilo me meri tum bhi mil pate..!

❁❁❁❁❁

★✩★✩★✩★✩

𑁍 Have you ever tried to listen and understand someone else's persepective over the thing which hurted you and them?

𑁍 Misunderstanding often happens when the distance of communication increases.

This poem conveys the different perspective of two people who earlier used to be close, but circumstances happened and they took different actions to emerge out of the hurt in their own way.

I've written this poem for Japwrites123 for her story's main leads. And, she has used it in her chapter beautifully. You can check out her profile too...

Thank you for reading!:)

THE POETRY Where stories live. Discover now