Decision for life

1.2K 166 78
                                    

"Zindagi me achha hone ki ek percent bhi chance hai na, tho wo chance le leni chahiye....kyunki🤔....kyunki ajeeb aadmi ne aisa kaha hai yaar😜"..... Enjoy the reading dosto😊.

Abir and mishti were sitting in their hide out place. Mishti was caressing his hairs... Abir was closing his eyes. Mishti looked at him,.
M : suno..
A : ha bol...
Abir said still closing his eyes.
M : mujhe lagta hai ki humhe humara hide out place ko ek naam dena chahiye.
A : achha... Tho naam bhi tum hi batado.
M : 'ajeeb ghar'...kaise lagega?
Abir opened his eyes and stared at mishti pouting and she chuckled.
A : yeh kaisa naam hai?
M : tum ajeeb hi ho na... Tho yeh naam bilkul suit karega.
A : lekin, isme tumhari naam nahi hai na.
M : ha... Me tho socha hi nahi.
Abir hit her head slightly,
A : buddu... Me hi koyi accha naam soch leta hu.... Warna Tu tho ajeeb names hi sochegi.
M : ok... Araam se... Sukoon se socho.
Abir heard her words,
A : 'sukoon ghar'... Kaisa hai naam?
M : not bad ha ajeeb rajvansh...It's really beautiful name 'sukoon'.

Abir again closed his eyes and mishti wanted to ask something.
M : bir, mujhe kuch poochna hai tumse.
A : mujhe pata hai ki tu kya poochne wali hai.
M : what?... Kaise?
A : me bhi teri thoughts ko predict kar sakta hu miss mishti.
M : tho phir tum aur me ek hi class me nahi jaa rahe hai kya?
A : ek hi class me nahi... Hum ek hi college me bhi nahi jaa rahe hai.
Mishti's face dropped and tears started forming. In these three years she has become so much dependent on him that she needs him in everything, because she has no one else.

Abir opened his eyes... She looked other side.... He slowly held her face in his palms and started speaking, "sun mishti.... Tu meri angry chorni hai.. Tu kaise ro sakti hai... Tujhe tho violent banke ghoomna hai na?".
M : me woh sab hu ajeeb rajvansh, only if you are there on my side.
A : me tho humesha tere saath hi hu na.
M : phir kyu doosre college me jaana chahte ho?... Waise tu kya banna chahte ho?
A : doctor .
Mishti opened her mouth wide,
M : what?.... Matlab, tu aur doctor? .
A : kyu me doctor nahi bansakta?
M : of course bansakta hai yaar... Bass achanak se bol diya na, isiliye me chauk gayi...Lekin, aise sudden decision ke peeche koyi tho wajah hogi.... Bata.

A : mishti, tumhe pata hai na ki naani... naani kaise hum sabko chod ke chali gayi...
M : ha bir.. Papa keh rahe the na ki naani ko brain tumor ho gaya tha.
A : hmm... Hum jaise rich, business family ko sheher ke famous doctors ka contact tho hoga na... Phir bhi hum naani ko nahi bacha paaye... Ab jo poor hai, unke baare me socho... Woh kaise financial, mental trauma se guzarte honge, jab unke family members me kisi ek ko brain tumor hojayega tho.
M : tho, isiliye tumne decide kiya hai bir?
A : ha mishti.... Tu tho mere saath hai na?
M : me tho humesha tere saath hu... Lekin, meri ek sawal hai.
A : poocho.
M : kya hum koyi reason ke liye apne sapne se peeche hatna chahiye?... Jaise tum humesha papa ke architect business ko aage leke jaana chahta tha na...Ab doctor banna chahta hai.

A : me kaha apne dreams ko sacrifice kar raha hu?... Tu hai na... Teri bhi tho dream mera hai... Dono teri through ho jaayega na?
Abir smiled hitting her shoulder a bit.
M : answer me abir.. Kyu kar rahe ho aisa?
A : hmm... Sapne se peeche nahi hatna chahiye ... Lekin, kabhi kabhi life me aise mode aati hai ki hum jis jagah pe kade hai waha se do raaste jaati hai.... Ek apni kushi ka job, apni identity aur sirf apnon ki kushi... Aur doosre rasta jisme kitne logon ka madad ho jaati hai, jise chunke tu society ko bade level me contribute kar sakti hai, greater good of greater number you see.... Tho, tu kaunsa raasta chunogi..
M : obviously second wala.
A : me wohi kar raha hu.

Mishti understood everything and felt proud of her bir, because he is thinking of helping the needy.
Abir held her hand,
A : Tu mujhe support karegi na?
M : yeh kaisa sawal... Tum jo bhi karega na, usme me humesha tere saath hu.
A : chal, ab zyada time hogaya...so jaate hai.

Will You Be Mine Forever? Where stories live. Discover now